Sumiet23

Monday, 27 February 2017

Jeena..

Ho aisi duniya, jaha har koi sundar ho..
Kaale Gore ka farak na rahe,
Aur har kisi ki ek pehchaan ho..

Khoon se kam, par dil se bane rishte ho..
Apni jimmedari khub nibhaye,
Na ek dusre ke bharose ho..

Acchi ho khwaaishey, na kisika bura ho..
Dekhe har khwaab jo koi,
Mashallah, agle hi din woh puri ho..

Pyarbhare sawaal ka, pyarbhara hi jawab ho..
Vishwas jo rakha kisine,
Vishwas ka uske, na kabhi ghaat ho..

Aapka aur humara, kuchh is tarah jeena ho..
Jeetey toh duniya mai hum,
Par jeena wahi, jo kisike dil aur dimaag mai ho..


- Sumiet Talekar

Monday, 12 December 2016

Lo maan liya maine..

Lo maan liya maine, pyar nahi karte tum..
Mere saath meri yaadein, ho gayi hai gum..

Par kaise karu yakeen, ke sab khatam ho gaya..
Lamba tha yeh safar, ya saath kum pad gaya..

Jaa chuke bahot door tum, ab thoda ruk bhi jao..
Nahi milenge humare raste.. na kahunga laut aao..

Bas kabhi kabhar yaad, mujhe aati hai tumhari..
Kaash mai likh pata, poori kahaani humaari..

Khub kaha hai kisine, ke Waqt hai behta paani..
Le jaati hai sab kuchh, chhod ke bus nishani..

- Sumiet




Wednesday, 20 July 2016

F*R*I*E*N*D*S

Hello..

...Ha bolo.

Kaise ho ?

Thik.. aur tum ?

Pehchana mujhe ?

Kaise nahi pehchanunga ?

Hmm.. ๐Ÿ˜”
I'm sorry..

Sorry for what ?

For leaving you.

You never left me... ๐Ÿ˜•
Well leave it.
Say how are you ?

Without you...

You have me.

...Koi mili ki nahi ?

Mili na.
Tumhe ?

Hmm..
Kon h woh khushnaseeb ?

Hai ek..
Ditto tumhare jaisi.

Mujh se achhi hogi..

Tum kaha boori ho.

Tumhe nahi pata ?

Pata hota toh achha hota...
Aur bolo.. aj kaise yaad aayi achanak ?

Kuchh batana tha.

Kya baki hai ?

Meri shaadi fix hui hai.

Wow !
Congrats !! ☺

Hmm.. ๐Ÿ˜‘

Chalo achha hua.

Puchhoge nahi kaun hai woh ?

Jaan ke kya karunga.
Jo koi hai... lucky toh hai.

Ab tum pehle ki tarah mere baare mai possessive nahi ho na ?

Pehle mere paas bus tum hi thi.

Hmm.. ๐Ÿ˜
Kaisa laga tumhe aaj mujhse baat karke ?

Kal ki tarah.

Kya karte ho aaj kal ?

Kuchh nahi, job aur education.
Tumhara ho gaya na pura ?

Ha.. job bhi laga hai.

Waah..! fir toh aap Madam ban gayi !
Aur apke Sir kaise hai ?

Kaun ?

BF jee aapke.

Kaun ?

Kaun ya kaunsa ? ๐Ÿ˜

Hahaha.. so funny. ๐Ÿ˜Š

Arey wahi.. tumhara pahila crush.
Mr. xxxxxx.

Achha woh..

Ha woh..

Woh to first class.

Hmm... aur baki sab third class.

Kuchh bhi..

๐Ÿ˜€

Mummyjee kaisi hai ?

Thik..
Ab kya bataau, bimari ne pareshan kar dia hai.
Abhi just gaya doc visit karke.

Arey yaar..
Ek simple sa kaam nahi jamata.

Kya ?

Roj ka ek apple to hai.

Matlab ?

Arey.. apple latkate nahi kya ghar ke bahar ?

Woh kyu ?

Bhool gayi kya ?
"An apple a day keeps a doctor away." ๐Ÿ˜‚

Oohh..

Hahaha..

๐Ÿ˜„
Aur pata h kya.
Woh Xxxxxx hai na, uski shaadi ho gayi last year.

 Sirf shaadi hi nahi hui..

Toh ?

Mummy bhi ban gayi hai woh.

Ohh.. ha.
Life is so fast.
Kabhi hum bacche the.. aaj humare honeko hai.

Ha, matlab tumhare.

Arey yaar.. pehle shaadi toh ho jane do. ๐Ÿ˜„

A buddhu.. bacche ke liye shaadi compulsory thodi hoti hai. ๐Ÿ˜œ

Hahaha..
Hat, kuchh bhi.

๐Ÿ˜‚

Aur batao, khana khaya ?

Ha kyu ?
Tum nahi khati kya ?

Ha toh.. woh bhi 3 baar.

Toh khao na jao.
Dimag kyu kha rahi ho. ๐Ÿ˜

๐Ÿ˜…

Kyu free nahi ho kya ?

Na re baba.
Aaj kal chocolate bhi free mai nahi milta.
Aur tum meri baat kar rahi ho.

Achha ?
Toh kitni kimmat hai tumhari ?

Puchh rahi ho ya bata rahi ho ?

Whatever. ๐Ÿ˜

Madam jee ab bas bhi karo.
Hum gareebo ko maaf kar do.

Chalo kiya maaf.
Ab paao chhuo mere.

Thik hai jee toh yeh lo.
Paao upar karo.

Hat, besharam.

Woh kya hai na, aj kamar mai moch aayi hai. ๐Ÿ˜œ

๐Ÿ˜†

Aur yeh mai kya sun raha hoo aaj kal.

Kya ?

Madam ne 4 Wheeler lee hai.

Ha, sahi suna.

Aur woh bhi hawe mai udne wali.

Na, yeh galat suna.

Toh kya woh normal si gaadi hai kya ? ๐Ÿ˜

Toh kya Batman ki car kharidungi kya mai ? ๐Ÿ˜…

Hmm..
Baat samajh mai nahi aayi. ๐Ÿ˜ฏ

Ab kya ?

Ek sadharan gaadi ko tum asmaan mai kaise chalati ho ?

Woh kya hai na.
Car mai music bajati hoo, thoda bass badhati hoo, aur sab ho jata hai.

Itna kyu badhaati ho ?
Bass ?

Kyu ki..
Baby ko bass pasand hai !! ๐Ÿ˜†

๐Ÿ˜‚
Kabhi hume bhi ek test drive dilva do.

Ha ha, kyu nahi.
But jara sambhalna ha.

Daro mat yaar.
Mai nahi udaane wala.
Mujhe nahi jamta hawa mai udna.
Koi mujhe plane bhi dega agar chalane to bhi mai use highway se hi le aunga bhai.

Buhahaha..

Hahaha..
Chalo fir.

Kaha ?

Arey, matlab rakhta hoo.
Waise bhi tum kaha jaogi ajnabee ke saath.

Kon ajnabee ?

Mai, aur kaun ?
Kitne dino baad phone kiya aapne Ma'am ?

Hmm.. 3 saal baad.

Nahi.
3 saal.. 6 mahine.. 12 din.. 8 ghante.. 44 min.

Ohh..
Fir bhi.. hum ajnabee thodi na hai.

Toh kya hai hum ?

We are friends... ๐Ÿ˜‡

Kya ?????????? ๐Ÿ˜ฎ

Tuesday, 14 June 2016

URGE..

Your smell was seductive..
And I was lost in you..
I wished things to happen..
Between me and you..

You were saying something..
But I wasn't heeding  you..
The feeling was great..
So I was feeling you..

Please hold this moment..
Or let me hold you..
You are damn beautiful..
Let me explore you..

Come close and relieve..
My comfort is you..
There's one thing running..
Within me and you..

It's been a long time..
I was searching you..
Miss Angel of desire..
My urge is you..